A Longing for My Father
- MS Maasoom
- Dec 21, 2003
- 1 min read
nafrat si ho gayi hai iss shab guzaar tadken
aayengeh phir ba ham sohbat ke char dairenh
honge ab milneh seh phir yaad o sitam ke shaireh
na hoga waqt muntazir na vasl intezaar raaten
bas ek khwaab sa hoga yeh zindagi ka aalam
ba hum yun nishisht hongeh hangameh barpanh
na soch o fikr e duniya na dil sangeen kissi ka
hongi dilkash yeh baaten dilkash badalte khaaneh
ik taraf ammi ka ansoo miTayega nawaza
der nahi ab woh seher-e-khushi-o-shaadaan
ik ankhen jo tarsi ab tak ab lishk e roshan damkeh
woh ho no sakte chashm gil baba hamaare afshaan
ab der nahi us roz-e-seher-e-shaadab
kher hai ki khair makdam khaemah ho aashiyaana
yeh toh dil-e-talafuz yeh kya khana dil sitara
bus sabr-e-hud na chhoro chun ek hi hai nazaara
woh joh hai talb-e-zehn-e-aapa heh mushtaq hum bhi tushna
bus aur ik alaam ghari hai ke aaye bazm-e-aapa
bus ek intezaar thhora ki ik jaaye bashen ba hum tum
har roz ek zara tarikh e dil miTayen
aur saal guzashteh ko phir seh ik zara rangmaal jaayen
bus ek mah-e-aayendeh meh hum pahonchengeh aap ke sar
phir dekhen kya hoti hai harf-o-saday-e-dil zaar
chand aur din or ghariyan chand aur seher aur shab e hijran
ek jashan e kaamil o shaadaan bus ik roz na fikr e farda
bus ab aaye hai ghari sharab or shabab e humsaan
nahi hoga judai ka aalam na afsurdagi ka nukta
bus ba hum sohbat e anchal, ashaniye nau zist hoga
ijaazat e shoma mangteh hai waqt e kar aaya
bus ab kuch der nahi so ik asp-savaar aaya
